Who kya hai?, Jo main samaj ko de paunga
Sawalon ke Jawab dhoondta hoon main.
Kyunki, Muje Pata Nahi Mera Maqsad kya hai.
Uss behte Jharne ko dekke hairaan hoon.
Behna aur Barasna Saalon se kar raha hai woh,
Pahaadon ko cheerke, Pedh-pattiyo ko gud-guddake chalta jaa raha hai woh,
Shaayad use pata hai yahi uska Maqsad kya hai.
Uss Chup-Chap si Behti Hui Hawa ko dekke hairan hoon main.
Chattano ko Takrakar, Apna Hausla aur buland karta hai woh,
Jeev-Jantu ko Pran deta hai woh,
Shaayad use pata hai yahi uska Maqsad kya hai
Woh nukkad ka Bargad, Mujse 250 saal bada hai,
Aankdo pe jao, to shayad mere par-dada se bhi bada hai,
Par Aaj bhi Chaya dena nahi bhula hai Woh,
Uski god mein ek aadmi roj sota hai, bargad ji chaon mein uska ghar hai,
Wahi par bagal mein, Ek aurat Khilone bechti hai,
Sabko Sambalna aur apne beliyon ke neeche jageh deta hai woh,
Shaayad use pata hai yahi uska Maqsad kya hai.
Hey Prabhu, tujhse ek Binti hai,
Muje bhi kisi din bata de Mera Maqsad kya hai.
Har ek Manushya ka Janm hua hai kaam karne ke liye,
Aur main uss din ke intezaar main hoon,
Us dinka, Jis din muje pata chal jaaye,
Mera Maqsad Kya hai.

2 comments:
Super like
Good one...
Post a Comment